عني
: Dil-e-nadan tujhe hua kya hai... akhir is dard ki dawa kya hai... ham hain mushtaq aur wo bezar... ya ilahi ye majira kya hai... main bhi munh mein zaban rakhta hun... kash pucho k mudda kya hai.... jab k tujh bin nahi koi maujud... phir ye hangama, ai Khuda kya hai.... ye pari chehra log kaise hain..... gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai.... shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai.... nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai... sabza-o-gul kahan se aye hain..... abr kya chiz hai hawa kya hai... hamko unse wafa ki hai umme`ed... jo nahi jante wafa kya hai... han bhala kar tera bhala hoga.... aur darwesh ki sada kya hai... jan tum par nisar karta hun..... main nahi janta dua kya hai.... main ne mana k kuch nahi Ghalib.... muft hath aye to bura kya hai..